Home

Kidmaat

MAzeed daryaaft karein

Hamare Qidmaat

Hum us Mustareq ansar ke paaband hai joh Allah ki kitaab hai. Quraan majeed Nabi kareem (ﷺ) ki talimaat. Hadees aur sahih rehnumai waale sahabah ki riwayaat se. 

  • Nikah mardh ke liye ek bohot ahem sunnat hai or Sunni Mainstream community ke kisi bhi durse musalmaan ke saath nikah jayez hai. Kisi bhi shaadi main muzuafat ek ahem asnar hai khastaur pr aapke shareeq e hayaat ke Aqeeda main.

 

  • Ab aapko Mahadavia community main shareeq e hayaat ki talaash pr paabandi nahi laghani hogi.

 

  • Towards Islam duniya bhar main markazi idaare ki Sunni community ko Mahdaviat se Mainstream Sunni Aqeeda tak jaari andruni islaah ke baare main hassas banane main badi paish rafat kar rahan hai.

 

  • hamare sunni markazi idaare ki community ki taraf se himayat ki shaqal main radh amal wajeh taur pr nazar  aata hai kyunki kae mardh aur khawateen Sunni Mainstream community main kaamiyabi ke saath  shaadi kr rahe hai.

 

  • Aur, jaisa ke towards islam main members roz ba roz bardhrahe hai. Aap is group ke Ex-Mahdavia members ke saath bhi nikah krne par gour krsakhte hai.

 

  • Barhaaye karam yaad rakhein aap ki shareeqe hayaat ke saath aqeeda ki mutaabiqat par samjhautah nahi kiya jaan chahiye.

 

  • lehaza aap pr laazin hai ke aap apne naye Aqeeda  ka saboot Baraat Letter ki shakal main paish karein jisme main yeh aailan kiya jaaye ki aap ne quran, sunnat or Sahaba ki taalimat ke mutaabiq apne aaqaid ko Sunni Mainstream ke aaqaid main tabdeel kardiya hai aur Mahdavia aqedah ko radh kardiya hai.

 

  • Towards Islam ke arkaan aapke or  pyaaron ke aakiri rusumaat adaa karne ke liye acchi tarha se tarbiyatyaafta hain. Hum intehaai hausla afzai krte hai ke har ek fardh ko apne pyaaron ki aakiri rusumaat adaa krne ke liye acchi tarha se tarbiyatyaafta aur baashaur hona chahiye. Ya intehaai afzal hai ke mayyat ka koi khareebi rishtedaar khud mayyat ki aakiri rusumaat adaa karein.

 

  • aap agar  Kafan, Dafan, Ghusl, Namaaz E Janaze main tarbiyatyaafta nahi hai, toh aap Towards Islam group se raabta karsakhte hai ya madad aur rehnumai ke liye Mainstream Sunni community kareebi masjid se bhi raabta krsakhte hai.

 

  • Yeh bohot zaroori hai ke aakhiri rusumaat adaa krne waale ka sahih aqeeda ho aur woh quraan, sunnat aur sahabah e ekraam radhiallahu anhuma ki talimaat par amal kareh.

 

  • Allah ta'aala har musalmaan ka aakiri safar asaan farmaaye aur hamein jahannam ki aagh se mehfooz rakhein, Ameen. 

 

  • Aqeeda mahdaviyat ko tark karne ki wazahat ke liye ye ek bahot hi aham letter  hai. 

 

  • Is letter me wazahat hai ke aap mahdaviya aqeeda ko baghair kisi dabao ya zabardasti ke apni marzi ke saath chodh diya hai.

 

  • Aap baraat letter isi website se services page se download krsakhte hai.

 

  • Aap wazahati “Baraat letter” Baraat letter app se download kar sakte hain.  Agar aap waqtiya taur par is letter ko razdari me rakhna chahtey hain to is baat ki tamaniyat di jati hai ke letter ko razdari me rakkha jaye ga us shaqs ke saath jis par aap bharosa karte hain. Aur awam me nahi khola jaye ga.

 

  • “har nafs ko maut ka maza chakhna hai”.

 

  • Dunya bhar ke Sunni stream qabrastan ke mutavalliyaon ko ittela di gai hai ke kai loog aqeeda mahdaviya ko khairbad kadiye hain. Aur kai loog is aqeeda sy kanara kash ho rahe hain.

 

  • Chunanche un qabarastan ke mutavalliyon se guzarish ki gai hai ke un me sabiqa mahdiyon ke liye qabrastan me jaga faham kareen.

 

  • Alhamdu Lillah in mutavallion ne hame bawer karaya jo loog aqeeda mahdaviyat se kanara kash ho gaye hain. Aur Sunni stream ke saath mil gaye hain ab wo islam me hamarey bhai aur bahen hain.

 

  • Qabrastan me jaga ki farahami ke liye ye ek badi kamyabi hai. Mazeed ye kea b aap mahdaviya firqa me rishta karne ke liye mazeed talash ki zaroorat nahi.

 

  • Aap se guzarish ki jati hai ke aap apney naye aqeeda ky  “barat form” jis me is ki wazahat hogi ke aap ne apna aqeeda badal diya hai jis se sabit hoga ke aap ken aye aqeeda ka is barat letter  me yani wazahat hogi ke aap ne Sunni  main stream me ke aap ne quran wa sunna aur sahaba ke aqeeda ke hisab se apna aqeeda karliya hai aur mahdaviya aqeeda ko khairbad kardiya hai.

 

Hamari service

Cheezein hum joh kar rahe hai

Towards Islam ek group hai gis ki bunyaadh un tamaam Mahdavis ke liye rakhi gyi hai jinhone Mahdaviyat ke aqeeda ko chordh diya hai.

Hum taaun aur hikmat  amali banane ke liye sirf saabiq Mahdavi ki ek aalmi team banaa rahe hai jis se hamaare Mahdavi dostoon aur khandaanon ko Towards Islam ke taraf aane main madad milegi.

Mahdavi brathery ko quran wa sunnat ki bunyad par islam ke haqeeqi aqaid ki taleem deney ke liye neez sahib kiram rizwanullah alaehim ajmaeen ke aqaid par gamzan karne aur unke gumrah aqaid ki hifazat karna.

Nikah aur Matrimonial

Nikah mardh ke liye ek bohot ahem sunnat hai or Sunni Mainstream community ke kisi bhi durse musalmaan ke saath..

Baraath Letter

Aqeeda mahdaviyat ko tark karne ki wazahat ke liye ye ek bahot hi aham letter hai. Is letter me wazahat hai ke aap mahdaviya aqeeda...

Aaqiri Rusumaat ki Tarbiyat

Towards Islam ke members aap aur aap ki pairvi ki aaqiri rusumaat adaa karne ke liye acchi tarha se tarbiyatyaafta hai...

Sunni Qabrastan

Dunya bhar ke Sunni stream qabrastan ke mutavalliyaon ko ittela di gai hai ke kai loog aqeeda mahdaviya...

Dar Ul Ifta Al Mahadul Aali Al Islami,India se Jaaniye

Hazrat Imam Mahdi is duniya main nahi aaye. Tamaam log jinhone Imam Mahdi hone ka ailaan kiyaa inke daawe galath hai. Syed Mohammed Jaunpuri ne aksariyat.